Hashr Meaning in Hindi
हश्र शब्द के मुख्य रूप से दो अर्थ निकलते हैं। पहले अर्थानुसार आम तौर पर जब हिंदी भाषी क्षेत्रों में हश्र शब्द का इस्तेमाल किया जाता है तो इसका अर्थ होता है “कयामत या अंत” जब कोई कहे कि आज हश्र का दिन है तो इसका अर्थ होगा कि “आज कयामत का दिन है/ या आज अंतिम दिन है” अर्थात हश्र शब्द किसी वस्तु के अंत की बात करता है।
दुसरे अर्थों में मुसलमान व ईसाई मान्यता के अनुसार हश्र उस दिन को कहा जाता है जब सभी मृत व्यक्ति कब्रों से निकलकर खुदा के सामने उपस्थित होंगे और खुदा उन सबके कर्मों का हिसाब करेगा। मुख्य रूप से मुस्लिम व ईसाई धर्म से सबंधित वे सब छोटे बड़े धर्म जिनमें मृत शरीर को दफनाने का रिवाज है की मान्यताओं के अनुसार जब दुनिया का अंत होगा तो खुदा जमीं पर आएंगे और सभी मृत शरीर कब्रों से निकलकर खुदा के सामने उपस्थित होंगे और खुदा उनके कर्मों के अनुसार उनका इंसाफ करेगा उस दिन को हश्र का दिन कहा जाएगा।
हिंदी भाषी क्षेत्रों में हश्र शब्द को ऐसे वाक्यों में प्रयोग किया जाता हैं जहां इसका अर्थ “अंत” निकलता है उदाहरण के तौर पर हम निम्न वाक्य देख सकते हैं:
उदाहरण वाक्य: अगर युद्ध हुआ तो देखना दुश्मन देश का हश्र क्या होता है।
(इस वाक्य में हश्र का मतलब “अंत” है)
Hashr Meaning in Romanized Hindi
“Hashr shabd ke mukhya roop se do arth nikalte hain. Pahle arthanusar aam taur par jab Hindi bhashi kshetron mein hashr shabd ka istemal kiya jata hai to iska arth hota hai ‘kayamat ya ant’ jab koi kahe ki aaj hashr ka din hai, to iska arth hoga ki ‘aaj kayamat ka din hai/ ya aaj antim din hai,’ arthat hashr shabd kisi vastu ke ant ki baat karta hai.
Dusre arthon mein Musalman aur Isai manyata ke anusar hashr us din ko kaha jata hai jab sabhi mrit vyakti kabron se nikalkar Khuda ke samne upasthit honge aur Khuda un sabke karmo ka hisab karega. Mukhya roop se Musalman aur Isai dharm se sambandhit ve sab chhote bade dharm jinme mrit sharir ko dafnane ka riwaj hai ki manyataon ke anusar jab duniya ka ant hoga to Khuda zameen par aayenge aur sabhi mrit sharir kabron se nikalkar Khuda ke samne upasthit honge aur Khuda unke karmo ke anusar unka insaaf karega us din ko hashr ka din kaha jayega.
Hindi bhashi kshetron mein hashr shabd ko aise vakyon mein prayog kiya jata hai jahan iska arth ‘ant’ nikalta hai, udaharan ke taur par hum nimn vakya dekh sakte hain:
Udaharan vakya: Agar yuddh hua to dekhna dushman desh ka hashr kya hota hai.
(Is vakya mein hashr ka matl
