Startup Meaning in Hindi
स्टार्टअप किसी भी व्यापार के उस शुरुआती बिंदु या अवधि को कहा जाता है जब वह व्यापार विकसित होने के लिए तैयार हो रहा होता है। सरल शब्दों में कहें तो जब कोई व्यापार शुरू किया जाता है तो वह अपने आप को बाजार में सही से स्थापित करने के लिए कुछ समय लेता है इस समय के दौरान उस व्यापार को उद्योग न कहकर स्टार्टअप की श्रेणी में रखा जाता है। इस समय के दौरान सरकार उस नए स्टार्टअप को टैक्स इत्यादि में विशेष छूट देती है ताकि वह बाजार की प्रतिस्पर्धा में टिक सके। इसी नए उद्योग को स्टार्टअप कहा जाता है।
ऐसा नही है कि स्टार्टअप केवल एक या दो वर्ष पहले शुरू हुए व्यापार को कहा जाता है बल्कि भारत सरकार द्वारा दी गई परिभाषा के अनुसार किसी उद्योग को उसकी स्थापना दिनांक से 10 वर्ष तक स्टार्टअप की श्रेणी में रखा जा सकता है बशर्ते उसका वार्षिक टर्नओवर (100 करोड़ रुपए प्रति वर्ष) से कम होना चाहिए।
वाक्य उदाहरण : भारत में तेजी से स्टार्टअप विकसित हो रहे हैं।
Startup Meaning in Romanized Hindi
Startap kisi bhi vyapaar ke us shuruaati bindu ya avadhi ko kaha jata hai jab vah vyapaar viksit hone ke liye taiyaar ho raha hota hai. Saral shabdon mein kahen to jab koi vyapaar shuru kiya jata hai to vah apne aap ko bazaar mein sahi se sthaapit karne ke liye kuch samay leta hai. Is samay ke dauran us vyapaar ko udyog na kahkar startap ki shreni mein rakha jata hai. Is samay ke dauran sarkar us naye startap ko tax ityadi mein vishesh chhoot deti hai, taaki vah bazaar ki pratishpardha mein tik sake. Isi nye udyog ko startap kaha jata hai.
Aisa nahi hai ki startap keval ek ya do varsh pahle shuru hue vyapaar ko kaha jata hai, balki Bharat sarkar dwara di gayi paribhasha ke anusar kisi udyog ko uski sthaapana dinank se 10 varsh tak startap ki shreni mein rakha ja sakta hai, basharte uska varshik turnover (100 crore rupay prati varsh) se kam hona chahiye.
Vaakya udaharan: Bharat mein teji se startap viksit ho rahe hain.