Samrik Meaning in Hindi
सामरिक शब्द का प्रयोग किसी भी ऐसी बात को कहने के लिए किया जाता है जो युद्ध से संबंधित हो। उदाहरण के तौर पर यदि हम कहें “सामरिक समाचार” तो इसका अर्थ होगा युद्ध से संबंधित समाचार। यदि हम कहें “सामरिक संबंध” तो इसका अर्थ होगा युद्ध सबंध के विषय। सामरिक सबंध बनाने हेतु दो देश आम तौर पर चर्चा करते हैं जिससे युद्ध सबंधी नुकसान से बचा जा सके। इस प्रकार सामरिक शब्द का प्रयोग होता है और जिस सबंध में प्रयोग करना है उसी से जुड़ा शब्द सामरिक के साथ लगा दिया जाता है।
अंग्रेजी में सामरिक को “टैक्टिकल” कहा जाता है और इससे जुड़े कुछ और शब्द जो हम आमतौर पर सुनते हैं उनमें “सामरिक पर्यवेक्षण” भी एक महत्वपूर्ण शब्द है जिसका अर्थ होता है युद्ध से पहले युद्ध क्षेत्र की जांच करना् व शत्रु के बारे में जानकारी लेना तथा युद्ध क्षेत्र की भौगोलिक स्थिति की जांच परख करना इत्यादि सामरिक पर्यवेक्षण में आते हैं। इसके अलावा सामरिक शब्द का प्रयोग “सामरिक शस्त्र” के रूप में भी किया जाता है जिसका अर्थ होता है युद्ध से सबंधित शस्त्र।
Samrik Meaning in Romanized Hindi
Saamrik shabd ka prayog kisi bhi aisi baat ko kehne ke liye kiya jaata hai jo yuddh se sambandhit ho. Udaaharan ke taur par yadi hum kahein “Saamrik samaachaar” toh iska arth hoga yuddh se sambandhit samaachaar. Yadi hum kahein “Saamrik sambandh” toh iska arth hoga yuddh sambandh ke vishay. Saamrik sambandh banane hetu do desh aam taur par charcha karte hain jisse yuddh sambandhi nuksaan se bacha jaa sake. Is prakaar saamrik shabd ka prayog hota hai aur jis sambandh mein prayog karna hai usi se judda shabd saamrik ke saath laga diya jaata hai.
Angrezi mein saamrik ko “Tactical” kaha jaata hai aur isse jude kuchh aur shabd jo hum aamtaur par sunte hain unmein “Saamrik paryaveshan” bhi ek mahatvapurn shabd hai jiska arth hota hai yuddh se pehle yuddh kshetra ki jaanch karna, v shatru ke baare mein jaankaari lena tatha yuddh kshetra ki bhaugolik sthiti ki jaanch parakh karna ityaadi saamrik paryaveshan mein aate hain. Iske alava saamrik shabd ka prayog “Saamrik shastra” ke roop mein bhi kiya jaata hai jiska arth hota hai yuddh se sambandhit shastra.