Maveshi Meaning in Hindi
मवेशी उन पशुओं को कहा जाता है जिनके सींग होते हैं तथा जिन्हें दूध, मांस व रेशा जैसी बिकने योग्य वस्तुओं की प्राप्ति के लिए पाला जाता है। आमतौर पर मवेशी पशु घूमकड़ प्रवृति के होते हैं तथा इन्हें बांध कर रखा जाता है। मवेशियों के उदाहरण के तौर पर हम गाय, भैंस, बकरी जैसे पालतू जानवरों के नाम ले सकते हैं। मवेशी का हिंदी में मतलब होता है चौपाया जानवर (अर्थात जिसके चार पाँव हो) या पालतू व घरेलु जानवर (जो घर मे पाले जाते हैं) (इंग्लिश: कैटल)। उत्तरी भारत में इन्हें डाँगर कहा जाता है। मवेशियों को प्राचीन काल से ही दूध, मांस व रेशा प्राप्ति के लिए पाला जाता रहा है मवेशीपालन कृषि क्षेत्र से जुड़े लोगों का प्रमुख व्यवसाय है क्योंकि इन क्षेत्रों में चारा आसानी से मिल जाता है जो मवेशियों का मुख्य भोजन होता है। कृषि क्षेत्र के लोग इन्हें दूध प्राप्ति के लिए पालते हैं।
नर पशु जैसे कि बैल, घोड़ा या भैंसा दूध नही देते इसलिए इन्हें रेहड़ी के साथ बांधकर रेहड़ी खींचने के लिए प्रयोग में लाया जाता है। उसी प्रकार भेड़ जैसे मवेशी दूध नही देते इन्हें ऊन प्राप्ति के लिए पाला जाता है। इसके अतिरिक्त ऐसे मवेशी जिनसे दूध व रेशे इत्यादि की प्राप्ति नही की जा सकती या जो किसी कारण वश इन प्राप्तियों में सहायक न हो उन्हें बूचड़खाने में भेज कर उनसे मांस प्राप्त किया जाता है। बूचड़खानों को बहुत से देशों में अवैध माना जाता है।
उदाहरण: 1). मवेशियों का पालन अर्थात पशुपालन एक लाभकारी व्यवसाय है।
2). मवेशियों को रखे जाने की घर में अलग व्यवस्था बनाई जानी चाहिए।
3). आग लगने की अवस्था में घर में बंधे मवेशियों को खोल देना चाहिए।
Maveshi Meaning in Romanized Hindi
Maveshi un pashuon ko kaha jata hai jinke sing hote hain tatha jinhe doodh, maans, aur resha jaisi bikne yogya vastuon ki prapti ke liye pala jata hai. Aam taur par maveshi pashu ghoomakad pravriti ke hote hain tatha inhe baandh kar rakha jata hai. Maveshiyon ke udaharan ke taur par hum gaay, bhains, bakri jaise paltoo janwaron ke naam le sakte hain. Maveshi ka hindi mein matlab hota hai chaupaya janwar (arthat jiske chaar paanv ho) ya paltoo aur gharelu janwar (jo ghar mein pale jate hain) (English: cattle).
Uttari Bharat mein inhe dangar kaha jata hai. Maveshiyon ko prachin kal se hi doodh, maans aur resha prapti ke liye pala jata raha hai. Maveshipalan krishi kshetra se jude logon ka pramukh vyavasay hai kyunki in kshetron mein chara aasani se mil jata hai jo maveshiyon ka mukhya bhojan hota hai. Krishi kshetra ke log inhe doodh prapti ke liye paalte hain. Nar pashu jaise ki bail, ghoda ya bhainsa doodh nahi dete isliye inhe rehri ke saath baandhkar rehri khinchane ke liye prayog mein laya jata hai.
Usi prakar bhed jaise maveshi doodh nahi dete, inhe oon prapti ke liye pala jata hai. Iske atirikt aise maveshi jinse doodh aur reshe ityadi ki prapti nahi ki ja sakti ya jo kisi karan vash in praptiyon mein sahayak na ho, unhe boochadkhane mein bhej kar unse maans prapt kiya jata hai. Boochadkhane ko bahut se deshon mein avaidh mana jata hai.
Udaharan: 1). Maveshiyon ka palan arthat pashupalan ek labhakari vyavasay hai.
2). Maveshiyon ko rakhe jaane ki ghar mein alag vyavastha banai jaani chahiye.
3). Aag lagne ki avastha mein ghar mein bandhe maveshiyon ko khol dena chahiye.