Maikhana Meaning in Hindi
मयखाना दो शब्दों से जुड़कर बना है तथा यह एक उर्दू का शब्द है। उर्दू में “मय” शब्द शराब अर्थात मदिरा के लिए प्रयोग किया जाता है। तथा खाना शब्द एक ऐसे स्थान के लिए प्रयोग में लाया जाता है जहाँ पर किसी वस्तु को अधिक मात्रा में इक्कठा कर के रखा जाता है। यद्दपि इस शब्द में खाना शब्द (खाना: भोजन) से मेल खाता है परन्तु यहाँ “खाना” शब्द से तात्पर्य भण्डार से है जहाँ पर किसी वस्तु को को संग्रहित करके रखा गया हो। “मय” शब्द को साथ जोड़ने से यह उस स्थान को परिभाषित करता है जहाँ पर शराब को एकत्रित करके रखा गया है।
आम बोलचाल में इसे ठेका या शराब की दुकान भी कहा जा सकता है। भठीयारखाना भी इसी शब्द का प्रयायवाची है भठीयारखाना एक एसा स्थान होता है जहाँ पर रहने के साथ साथ शराब की व्यवस्था भी होती है। मयखाना को हिन्दी में शराबखाना भी कहा जाता है। उर्दू शायरी में मयखाना शब्द प्रचलित है।
Maikhana Meaning in Romanized Hindi
Maykhana do shabdon se judkar bana hai tatha yah ek Urdu ka shabd hai. Urdu mein “may” shabd sharab arthat madira ke liye prayog kiya jata hai. Tatha khana shabd ek aise sthan ke liye prayog mein laya jata hai jahan par kisi vastu ko adhik matra mein ikattha kar ke rakha jata hai. Yadapi is shabd mein khana shabd (khana: bhojan) se mel khata hai, parantu yahan “khana” shabd ka tatpary bhandaar se hai jahan par kisi vastu ko sangrahit karke rakha gaya ho. “May” shabd ko saath jodne se yah us sthan ko paribhashit karta hai jahan par sharab ko ektrit karke rakha gaya hai.
Aam bolchal mein ise theka ya sharab ki dukaan bhi kaha ja sakta hai. Bhatiyarkhana bhi isi shabd ka prayayvachi hai. Bhatiyarkhana ek esa sthan hota hai jahan par rahne ke sath sath sharab ki vyavastha bhi hoti hai. Maykhana ko Hindi mein sharabkhana bhi kaha jata hai. Urdu shayari mein maykhana shabd prachalit hai.