Lipik Meaning in Hindi
लिपिक एक पद है जिस पर नियुक्त व्यक्ति लेखे-जोखे का काम करता है। यही व्यक्ति जानकारी गणना इत्यादि को लिपिबद्ध करता है अर्थात किसी भी मौखिक रूप में हुए कार्य व हिसाब-किताब का लिखित रूप तैयार करता है। किसी भ संस्था की आय व व्यय के हिसाब किताब हेतु लिपिक नियुक्त किए जाते हैं यह किसी भ संस्था में एक या एक से अधिक हो सकते हैं। लिपिक पद की संख्या संस्था द्वारा किए जाने वाले व्यापार पर निर्भर होती है।
लिपिक द्वारा रखे जाने वाले लेखे-जोखे के आधार पर भी किसी कम्पनी के लाभ व हानि की सटीक स्थति का पता लगाया जाता है तथा समय रहते कम से कम हानि व अधिक से अधिक लाभ पर जोर दिया जाता है। लिपिक शब्द “लिपि” का विस्तार है। किसी भी मौखिक शब्दों, वर्णों व अंको को लिखित रूप देने के लिए प्रयोग किए गए चिह्नों को लिपि कहा जाता है। लिपिक शब्द मुंशी का पर्याय है। लिपिक को अंग्रेजी में क्लर्क (Clerk) कहा जाता है।
Lipik Meaning in Romanized Hindi
Lipik ek pad hai jis par niyukt vyakti lekhe-jokhe ka kaam karta hai. Yahi vyakti jankari ganana ityadi ko lipibaddh karta hai arthat kisi bhi maukhik roop mein hue karyo aur hisaab-kitab ka likhit roop taiyar karta hai. Kisi bhi sanstha ki aay aur vyay ke hisaab-kitab hetu lipik niyukt kiye jaate hain, yah kisi bhi sanstha mein ek ya ek se adhik ho sakte hain. Lipik pad ki sankhya sanstha dwara kiye jaane wale vyapaar par nirbhar hoti hai.
Lipik dwara rakhe jaane wale lekhe-jokhe ke aadhar par bhi kisi kampani ke labh aur haani ki sateek sthiti ka pata lagaya jaata hai, tatha samay rahte kam se kam haani aur adhik se adhik labh par jor diya jaata hai. Lipik shabd “lipi” ka vistar hai. Kisi bhi maukhik shabdon, varno aur anko ko likhit roop dene ke liye prayog kiye gaye chihnon ko lipi kaha jaata hai. Lipik shabd munshi ka paryay hai. Lipik ko angrezi mein “clerk” kaha jaata hai.