Tadipaar Meaning in Hindi
जब किसी भी व्यक्ति को उसके घर, रहने के स्थान, शहर, गांव, कस्बे या देश से निकाल बाहर कर दिया जाता है तो उसे कहा जाता है तड़ीपार करना। इस शब्द का हिंदी में पर्यायवाची होता है “निर्वासन”। प्राचीन समय में जब कोई राजा दूसरे देश के राजा को हरा देता था तब या तो उस हारे हुए राजा को मार दिया जाता था या फिर उसे तड़ीपार कर दिया जाता था ताकि वह अपनी सेना तथा प्रजा को पुनः संगठित कर विद्रोह ना कर सके। इसके अलावा आज के समय में भी जब पुलिस किसी व्यक्ति को गुनहगार मानती है तथा वह बेल पर होता है या किसी भी परिस्थिति में वह जेल से बाहर होता है तो पुलिस उसे तड़ीपार का आदेश दे सकती है ताकि वह अपने क्षेत्र में रहकर गवाहों और सबूतों से छेड़छाड़ ना कर सके।
इसके अलावा बहुत से अन्य कारणों से भी तड़ीपार का आदेश दिया जाता है जैसे की ग्राम पंचायतों द्वारा किसी ग्रामवासी को सबकी सहमति पर गाँव निकाला देना जो कि एक अवैध प्रक्रिया है क्योंकि ग्रामपंचायत के पास इसका अधिकार नही है लेकिन फिर भी ग्रामवासियों की सर्वसहमति से ये ग्रामस्तर पर किया जाता है। इसके अलावा वैध प्रक्रिया के चलते अदालत द्वारा भी कई बार अपने देश या राज्य से निर्वासित होने का आदेश दिया जा सकता है।
यह भी पढ़ें:
- अग्रिम जमानत का अर्थ
- तारांकित प्रश्न का अर्थ
- कूटनीति का अर्थ
- बनाम का अर्थ
- अखंडता का अर्थ
Tadipaar Meaning in Romanized Hindi
Jab kisi bhi vyakti ko uske ghar, rahne ke sthan, shahar, gaon, kasbe ya desh se nikal bahar kar diya jata hai to use kaha jata hai “tadipaar karna”. Is shabd ka Hindi mein paryayvachi hota hai “nirvaasan”. Prachin samay mein jab koi raja doosre desh ke raja ko hara deta tha tab ya to us hare hue raja ko maar diya jata tha ya phir use tadipaar kar diya jata tha taaki vah apni sena tatha praja ko punah sangathit kar vidroh na kar sake. Iske alava aaj ke samay mein bhi jab police kisi vyakti ko gunahgaar maanti hai tatha vah bel par hota hai ya kisi bhi paristhiti mein vah jail se bahar hota hai to police use tadipaar ka aadesh de sakti hai taaki vah apne kshetra mein rahkar gawaahon aur sabooton se chhedchhaad na kar sake.
Iske alava bahut se anya karnon se bhi tadipaar ka aadesh diya jata hai jaise ki gram panchayaton dwara kisi gramvasi ko sabki sahmati par gaon nikala dena jo ki ek avaidh prakriya hai kyonki gram panchayat ke paas iska adhikaar nahi hai lekin phir bhi gramvasiyon ki sarvahamati se ye gramsthir par kiya jata hai. Iske alava vaidh prakriya ke chalte adalat dwara bhi kai baar apne desh ya rajya se nirvaasit hone ka aadesh diya jaa sakta hai.
Yeh bhi padhen:
- Agrim jamaant ka arth
- Tarankeet prashn ka arth
- Kootneeti ka arth
- Banam ka arth
- Akhandata ka arth