Utopia Meaning in Hindi
Utopia Meaning in Romanized Hindi
“Yootopiya ek aise kalpanik samaj ko kaha jata hai jahaan par sab kuch parfait (uttam) ho. Jahaan kisi prakar ki koi samasya na ho, sab log saath milkar hansi-khushi jeewan vyateet karen, sabko baraabar ke adhikaar praapt hon, sabki aarthik sthiti ek jaisi ho, sabko nyay milta ho, sab ek doosre ke saman samjhein jaaye, jahaan raja bhi khush ho aur praja bhi khush ho, udyogpati bhi khush ho aur majdoor bhi khush ho, jahaan sena bhi khush ho, jahaan kisi prakar ka koi yuddh na hota ho aur sab log santusht hokar ek achha jeewan vyateet karen. Aise kalpanik samaj ko Yootopiya kaha jata hai.
Haalanki practical (vaastavik) roop se kisi samaj ko Yootopiya banana sambhav nahi hai kyonki yah insanee prakriti ke viparit hai. Lekin samaajik kalyaan ka kaary karne vaale sabhi vichaarak apne samaj ko Yootopiya (arthaat aadarsh samaj) banana ke sapna lekar hi jankalyaan ke kaary karte hain. Yootopiya ko Hindi bolchaal mein ‘Raamraajya’ kaha jata hai.”