Union Territory Meaning in Hindi
भारत के सभी राज्यों में राज्य सरकार होती है जो उस राज्य के लिए कानून बना सकती है तथा उन कानूनों में संशोधन भी कर सकती है लेकिन केंद्र शासित प्रदेशों में ऐसी कोई सरकार नही होती; इन प्रदेशों पर भारत सरकार (जिसे हम केंद्र सरकार भी कहते हैं) का सीधा शासन चलता है; इसलिए इन प्रदेशों को केंद्र शासित प्रदेश कहा जाता है। एक तरफ जहाँ राज्यों में राज्य सरकार व मुख्यमंत्री होते हैं वहीं केंद्र शासित प्रदेशों में राष्ट्रपति द्वारा एक प्रशासक या लेफ्टिनेंट गवर्नर (उपराज्यपाल) नियुक्त किया जाता है। जो उस केंद्रशासित प्रदेश की प्रशासनिक गतिविधियों को केंद्र सरकार के आदेशानुसार चलाता है। इस प्रकार सरल शब्दों में कहें तो वे प्रदेश जिन पर केंद्र सरकार का सीधा शासन चलता है; केंद्र शासित प्रदेश कहलाते हैं।
ध्यान दें : केंद्र शासित प्रदेशों में विधानसभा का गठन भी किया जा सकता है लेकिन इन विधानसभाओं के अधिकार सीमित होते हैं और इन्हे कानून बनाने के लिए केंद्र सरकार से अनुमति लेनी पड़ती है। दिल्ली और पुड्डुचेरी की विधानसभा इसके उदाहरण हैं।
Union Territory Meaning in Romanized Hindi
Bharat ke sabhi rajyon mein rajya sarkar hoti hai jo us rajya ke liye kanoon bana sakti hai tatha un kanoonon mein sanshodhan bhi kar sakti hai lekin kendr shaasit pradeshon mein aisi koi sarkar nahi hoti; in pradeshon par Bharat sarkar (jise hum kendr sarkar bhi kehte hain) ka seedha shaasan chalta hai; isliye in pradeshon ko kendr shaasit pradesh kaha jata hai. Ek taraf jahan rajyon mein rajya sarkar aur mukhyamantri hote hain vahi kendr shaasit pradeshon mein rashtrapati dwara ek prashasanik adhikari ya leftinent governor (upraajyapal) niyukt kiya jata hai. Jo us kendrshaasit pradesh ki prashasanik gatividhiyon ko kendr sarkar ke aadesh anusar chalata hai. Is prakar saral shabdon mein kahen to ve pradesh jin par kendr sarkar ka seedha shaasan chalta hai; kendr shaasit pradesh kahlate hain.
Dhyan dein: Kendr shaasit pradeshon mein vidhansabha ka gathan bhi kiya ja sakta hai lekin in vidhansabhaon ke adhikar seemit hote hain aur inhe kanoon banane ke liye kendr sarkar se anumati leni padti hai. Delhi aur Puducherry ki vidhansabha iska udaharan hain.