Guru Gobind Dou Khade Meaning in Hindi
Guru Gobind Dou Khade Meaning in Romanized Hindi
Yah sant Kabir Ji ka ek bahut hi prachalit doha hai. Jismein Kabir Ji swayam se prashn karte huye khud ke aisi sthiti mein hone ka anubhav karte hain jahan unke guru (shikshak) tatha Govind (Ishwar) dono unke samaksh khade hain. Aisi sthiti mein Kabir swayam ko duvidha mein paate hain ve ye vichar kar paate hain ki yadi guru tatha Ishwar dono unke samaksh khade ho jaen to pehle ve kiske charan sparsh karenge arthat pehle ve kisko samman denge.
Ek aur unke guru hain jinhone unhein sab kuchh sikhaya hai tatha shiksha di hai aur is sansar ko samjhne ki manasik shakti unhein pradhan ki hai. Aur doosri aur Ishwar hain jinhone teenon lokon ka nirman kiya hai. Shiksha ka nirman unhi ki ichha se hua hai tatha ve hi is sampurn sansar ke rachayita hain yahan tak ki unke guru ke liye bhi ve pujniya hain.
Atah, is duvidha ko paar karte huye Kabir Ji apne guru ke paanv chhute hain tatha kehte hain, “Aap mere liye Ishwar se bhi oopar hain kyunki aapne hi mujhe Ishwar ko samjhne ki shakti di hai aur unke milne ka raasta mujhe dikhaya hai. Isiliye aap mere liye Bhagwan se bhi adhik sammaniy hain.”